Thursday, September 11, 2008

Zindagi jazbaton ki mehfil hai...

Zindagi jazbaton ki mehfil hai,
Mat khelo jazbaton se, tu bhi shamil hai|
Ek kashak si chubhi hai dil mein,
na janein kaun katil hai|

Humari wafaon ko unhone bewafa kaha,
ab humein bhi lagta hai woh bhi shamil hai|
Laut jana chahta hun apani mehfil mein,
Kam se kam tanhayi toh shamil hai|

Apani zindagi mein in ashkon ka kya hai,
jab dekho chale aatey hai,
is sukhe dil ko nam kar jaatey hai|
Par inaka kya kasoor hai,
Jazbaton ke saath inaka bhi toh ghar hai|

Lakhon dil dubeyn hai in ashkon mein,
Inka na toh koi namonishan hai,
Is raat ki subah nai, yahan toh sirf nisha hai||

Brajesh Soni

Monday, September 8, 2008

Tanhaayian...

Yaad use karta hun, jo mujhase bahut door hai|
Pata hai ki woh mujhase milane se mazboor hai||

Sirf pyari yadein de gayi hai, jeevan bhar rone ke liye,
aansuo se bhari raatein,
kaanton bhara bistar hai, ab toh sone ke liye||

Na de saki chhaya use,meri parchhayi mazboor ho gayi|
Phir bhi meri yadaon
me woh is kadar zinda he,
Ki tanhayi hamari judai dekh ke sharminda he ||

Jeendagi ki akhari saanson tak bhi, main unahe pyar karunga|
Hamesha unaki yaadon main rahene ki, ehasas se maroonga||

Brajesh Soni

Zindagi Ek Samander Hai...


Zindagi ek Samander hai,
ise paar karke hai jaana|
jo doob gaya woh hai anjaana,
jo paar kar gaya woh hai sayana||

Humne bhi koshish ki,
par paar toh na kar sake, par haar bhi na sake|
Mat samjho ki main anjaana hun,
aayi thi bahut atkalen lekin main ye na jaana hun||

Zindagi ko samjha aasan, isliye aaj hun pareshan|
jo jaan gaye woh ho gaye bhagwan,
jo na jan sake woh aaj bhi hai insaan||

Samjho ise jano ise vyarth na gawana...
Zindagi ek Samander hai, ise paar karke hai jaana|

Jo zindagi ko jeet gaye, woh ho gaye Sikander|
Jo haar gaye, zindagi phir bhi hai unake ander||

Lado aage, bado aage, chhoo lo aasman
phir dekho sazda karega ye jahaan||

Zindagi hume yahi deti he sujhaw|
jeeyo ise, jaano ise kabhi na lao padaav||

Aapase meri guzarish hai,
ab mat ho jaana anjaana|
Zindagi ek Samander hai, ise paar karke hai jaana|

Brajesh Soni